Mere malik mere aaqa ae mere parwar digar
Mere malik mere aaqa ae mere parwar digar
Apne bando se ilahi kis qadar hai tujhko pyar
Tu hame hai yaad rakhta garche hai gaafil rahen
Teri janib se hamesha nematon ki hai bahaar
Khudghraz ham beamal aur gharq-e-isyan hain magar
Tu asi-ul-maghfirat hai teri rahmat bekenan
Main bhi ek ghaflat ka mara tere un bandon me hun
Jinpe hai teri inayat behisab-o-beshumar
Teri sattari hai warna muh kise dikhla sakun
Daudta rahta hun apni taubah me bar bar
Nafs-o-shaitan dono mil kar hain mere peechhe pade
Hirs aur tool-e-amal ne kar ke rakha nabakar
Fazl tera gar mere aqwaal me shamil na ho
Ho rahunga phir to maula main tabahi ka shikar
Phir se taubah kar raha hun teri hi taufiq se
Apni badamaliyon par hun bahut main sharmsar
Dar tera ab chhor kar jaaun kahan main
ae kareem
Malja-o-manja-o-mahwa hai tu hi ae kirdgar
Teri rahmat le gayi sabqat ghazab par ay raheem
Allah Allah kaisi hai la taqnatu teri pukar
Qalb-e-insan hai bhi ungliyon ke darmiyan
Mere dil ko haq pe ya rab rakh hamesha barqarar
Housla aisa ata kar mujhko ay rabb-ul-ula
Sunnat-e-kahirulwaran par Jaan ho meri nisar
Tera kehlata hun ya rab main to bachpan se wali
Kaash ban jaaun main akhir tera banda kaamgaar
Mere malik mere aaqa ae mere parwardigar
Apne bando se ilahi kis qadar hai tujhko pyar
ConversionConversion EmoticonEmoticon