Naate Sarkar ki Padhta hoon Main Bas isi Baat se Ghar mein Mere Rehmat hogi

Naate Sarkar ki Padhta hoon Main Bas isi Baat se Ghar mein Mere Rehmat hogi Naat Lyrics


naat sarkar ki parta hoon main,naat sarkar ki padhta hu mein,naat sarkar ki parta hoon mein youtube,naate sarkar ki parta hoon main,naat sarkar ki parta hoon main bas isi baat se ghar mein mere rhamat hogi,naat e sarkar ki padhta hoon main,naat sarkar ki parta hoon mein,naat sarkar ki parhta hon main,naat sarkar ki parta hu main,naate sarkar ki padhta hoon main urdu naat Lyrics

Naate Sarkar ki Padhta hoon Main
Bas isi Baat se Ghar mein Mere Rehmat hogi
Ik Tera Naam Waseela hai mera
Ranjo Gham mein Bhi Isi Naam se Rahat Hogi

Ye suna hai ke Bahut Gor Andheri hogi
Qabr ka Khouf Na Rakhna Aye Dil
Waha Sarkar ke Chehre ki Ziyarat hogi
Naate Sarkar ki Padhta hun Main

Unko Mukhtar Banaya hai mere Moula ne
Khuld mein bas Wahi ja sakta hai
Jisko Hasnain ke Baba ki Ijazat hogi
Naate Sarkar ki Padhta hun Main

Hashr ka Din bhi Ajab Dekhne wala hoga
Zulf Lehra ke Jab wo Aayenge
Phir Qiyamat mein bhi Ek or Qiyamat Hogi
Naate Sarkar ki Padhta hun Main

Rashk se Door Khade Dekhte honge Zaahid
Jab Sare Hashr Gunahgaron pe
Mere Aaqa ka karam hoga Inaayat Hogi
Naate Sarkar ki Padhta hun Main

Kahi Yaseen Kahi Taha Kahi Washshams Aaya
Jiski Qasmein Mera Rab Khata hai
Kitni Dilkash Mere Mehboob ki Surat hogi
Naate Sarkar ki Padhta hun Main
Mera Daaman to Gunaahon se Bhara hai Altaaf
Ik Sahara hai ke Main Unka Hoon
Isi Nisbat se Sare Hashr Shafaat Hogi
Naate Sarkar ki Padhta hun Main

Naate Sarkar ki Padhta hun Main
Bas isi Baat se Ghar mein Mere Rehmat hogi
Previous
Next Post »