Aa jaye bulawa Mujhe Aaqa Tere Dar se Jis Dar ki Ghulaami ko To Jibreel Bhi Tarse


Aa jaye bulawa Mujhe Aaqa Tere Dar se naat lyrics


aaya hai bulawa mujhe darbare nabi se,bulawa,mujhe,naat,allah,owais raza qadri,paigham saba layi hai yeh gulzaar e nabi se,naat sharif,qadri,mere aaqa madine bula lijiye,gulzaar e nabi se,nasheed,muhammad,owais,se,gulzar-e-nabi se,taiba ke jaane wale,islam,latest,kaaba,jaana,aaya,new naat,islamic,ahmed raza qadri,tere,new naat 2017,madina,maulana,pakistan,naats,quran,makkah,urdu naat,urdu,raza,praise,jameel,dar,barelvi urdu naat lyrics


Aa jaye bulawa Mujhe Aaqa Tere Dar se
Jis Dar ki Ghulaami ko To Jibreel Bhi Tarse

Paidal hi Nikalte hain Masafaat ka Nahin Khouf
Thakte hi Nahi Ham to Madine ke Safar mein

Sunnat pe Teri Chalne ka Aa Jaye Qareena
Ye Abr-e-Karam Kaash Mere Dasht pe Barse

Zarrah bhi Lage Gohar-o-Almaas se Badh Kar
Dekhe to Koi Khaak-e-Arab meri Nazar se

Ek Main hi Nahin Taalibe Jalwa Mere Aaqa
Har ek Musalmaan tere Deed ko Tarse


Naamoose Muhammad ke lIye Jaan bhi Dunga
Ho Jaaunga Waaqif main Shahadat ke Hunar se

Duniya ke Faqat Chand hi Lamhaat the Guzre
Ho Aaye Payambar Mere Sadiyon ke Safar se

Jo Sham o Sahar Sallle Ala Kehte Rahega
Aaye Ga Bulaawa Use Aaqa ke nagar se

Kuch Khouf Nahin Mujhko Kadi Dhoop ka Amjad
Saaya Mujhe Milta hai Risaalt ke Shajar se
Previous
Next Post »