Lutf unka aam ho hi jayega Shad har nakaam ho hi Jayega


Lutf unka aam ho hi jayega Shad har nakaam ho hi Jayega

Lutf unka aam ho hi jayega
Shad har nakaam ho hi Jayega

Jaan de do Waada-e-Deedar par
Naqd apna daam ho hi jayega

Shaad hai Firdous yani ek din
Qismate Khuddaam ho hi jayega

Yad Reh Jayengi ye Bebaakiyan
Nafs to tu Raam ho hi jayega



Be Nishano ke Nishaan Mitt e Nahi
Mit-te Mit-te naam ho hi jayega

Yaade Ghesu Zikre Haq Aah kar
Dil mein Paida Laam ho hi Jayega

Muflison unki Gali Mein Ja Pado
Baaghe KHuld Ikraam ho Hi jayega

Gay Yuhi Rehmat Ki Taweelein Rahi
Madh Har Ilzaam ho hi Jayega

Baad Khwarai ka Samaa Bandhne to do
Shaikh Durd Aasham ho hi Jayega

Gham to Uko Bhool kar Lipta hai Yun
Jaise Apna Kaam ho ho Jayega

Mit ki Gar Yuhi Raha Qarze Hayat
Jaan ka Nilaam ho Hi Jayega


Aaqili Unki Nazar Seedhi Rahe
Borwo ka Bhi Kaam ho hi Jayega

Ab to Laayi Hai Shafaaat Afwa Par
Badhte Badhte Aam ho hi Jayega

Ay Raza Har Kaam ka Ek Waqt hai
Dil ko bhi Aaram ho hi jayega
Previous
Next Post »