Rukh se parda ab apne hata do Jaaliyon par nigahe jami hai

Rukh se parda ab apne hata do Jaaliyon par nigahe jami hai


Rukh se parda ab apne hata do
Jaaliyon par nigahe jami hai
Apna jalwa isi mein dikha do
Jaliyon par nigahen jami hai

Faslo ko Khudaya Mita do
Jaaliyon par nigahe jami hai
Apna jalwa isi mein dikha do
Jaliyon par nigahen jami hai

Ghousal Aazam ho Ghousal Wara ho
Dastagir or Mushkil kUsha ho
Kya Baya Aapka Martab aho
Noor ho Noor e Salle Alaa ho
Aaj Deedar apna kara do
Jaaliyon par Nigahe Jami hai



Wajd mein aayega sara Aalam
Jab Pukarenge ya Ghouse Aazam
Who Nikal Aayenge Jaliyon se
Or Qadmon me Gir jayenge
Fir kahenge ke Bigdi Bana do
Jaliyon par Nigahe jami hai

Shiddate Gham se Ghabra Gaya hoon
Ab to jeene se tang Aa gaya hoon
Har Taraf Aapko Dhundhta hoon
Or Ek Ek se ye PUchta hoon
Koi Paigham ho to bata do
Jaliyon par Nigahe Jami hai

Sun raha hai wo Fariyad meri
Khak hogi na Barbaad meri
Mai Kahin Bhi Maru Shahe Jeelaan
Rooh Pahuchgi Bagdhad Meri
Mujho ko Parwaz ke Par Laga do
Jaaliyon per Nigahe Jami hai



Ek Mujrim Siyahkar hoon main
Har Khata ka Sazawaar hoon main
Mere Charo Taraf hai Andhera
Roshani ka Talabgar hoon mai
Ek diya hi Samjh kar Jala do
Jaaliyon par Nigahe Jami hai

Fikr dekho Khayalat Dekho
Ye Aqeedat or Jazbaat Dekho
Mai hu kya meri Auqaat dekho
Saamne kaisi hai Zaat Dekho
Aye Adeeb ab sar jhukh do
Jaliyon par Nigahe Jami hai
Previous
Next Post »