Aaya na hoga is Tarah Rango Shabab Ret Par Gulshane Fatima ke The saare Gulab Ret Par

Aaya na hoga is Tarah Rang o Shabab Ret Par



Aaya na hoga is Tarah Rango Shabab Ret Par
Gulshane Fatima ke The saare Gulab Ret Par



Jane Batool ke Siwa koi nahi Khila Saka
Qater e Aab ke Beghair Itne Gulab Ret par

Ishq mein kiya Lutayen Ishq me kya Bachayen
Aale Nabi ne likh Diya Sara Nisaab Ret par

Jitne Sawal Ishq ne Aale Rasool Se kiye
Ek se Badhkar ek ne Diya Sare jaawab Ret par

Tarse Hussain Aab ko me jo Kahu to be Adab
Lam Se labe Hussain ko Tarsa hai aab Ret par


Lazzate Sozishe Bilal Shouke Shahadate Hussain
Jis ne Liya Yuhi Liya apna Khitab ret par

Aale nabi ka Kaam tha Aale Nabi hi kar Gaye
Koi na likh Saka adeeb Aisi Kitab Ret par
Previous
Next Post »