Dil mein Ishqe Nabi ki ho Aisi Lagan Rooh Tadpati rahe Dil Machalta Rahe
Dil mein Ishqe Nabi ki ho Aisi Lagan
Rooh Tadpati rahe Dil Machalta Rahe
Zindagi ka Maza hai ke Har Saans se
Ya Muhammad Muhammad (SAW) nikalta
Rahe
Ya Muhammad Muhammad jo Mai Kehta
Raha
Noor ke Motiyon ki Ladi Ban Gayi
Aayaton se Milata Raha Aayatein
Phir jo Dekha to Naate Nabi Ban Gayi
Dil mein Ishqe Nabi ki ho Aisi Lagan
Rooh Tadpati rahe Dil Machalta Rahe
Jab bhi Aansoo Bahe Mere Sarkar ke
Sab ke Sab Abre REhmat ke Cheentain
Bane
Chaah Gayi Jab Raat Zulf Lehra Gayi
Jab Tabassum Kiya Chandni Ban Gayi
Dil mein Ishqe Nabi ki ho Aisi Lagan
Rooh Tadpati rahe Dil Machalta Rahe
Ja Chirah Tazkira Unke Rukhsaar ka
Wadduha Padh Liya Wal Qamar Keh Diya
Sooraton Ki Tilaawat bhi Hoti Rahi
Naat Bhi Ban gayi Baat bhi Ban Gayi
Sab Se Saim Zamane Main Manzoor tha
Sab SE Bekas Bebas tha Majboor Tha
Unko REham Aa Gaya Mere Halaat Par
Meri Azmat Meri BeBasi Aa Gayi
Dil mein Ishqe Nabi ki ho Aisi Lagan
Rooh Tadpati rahe Dil Machalta Rahe
Dil mein Ishqe Nabi ki ho Aisi Lagan
Rooh Tadpati rahe Dil Machalta Rahe
Zindagi ka Maza hai ke Har Saans se
Ya Muhammad Muhammad (SAW) nikalta
Rahe
ConversionConversion EmoticonEmoticon