Faslon ko Takalluf hai Humse Agar Hum Bhi Bebas nahi Besahara Nahi
Faslon ko Takalluf hai Humse Agar
Hum Bhi Bebas nahi Besahara Nahi
Faslon ko Takalluf hai Humse Agar
Hum Bhi Bebas nahi Besahara Nahi
Khud Unhi ko Pukarenge hum Door se
Raaste mein Agar Paaon Thak Jayenge
Hum Madine mein Tanha Nikal Jayenge
Aur Galiyon mein Kus Dun Batak
Jayenge
Hum Waha Jaake Wapas Nahi Aayenge
Dhoondte Dhoondte Log Thak Jayenge
Hum Waha Jaake Wapas Nahi Aayenge
Dhoondte Dhoondte Log Thak Jayenge
Jaise hi Sabz gumbad Nazar Aayega
Bandagi ka Qareena Badal Jayega
Sar Jhukaane ki Fursat Milegi Kise
Khud Hi palkon se Sajde Tapak Jayenge
Sar Jhukaane ki Fursat Milegi Kise
Khud Hi palkon se Sajde Tapak Jayenge
Naame Aaqa jaha bhi LIya Jayega
Zikr Unka Jahan Bhi Kiya Jayega
Noor hi Noor Seeno mein Bhar Jayega
Sari Mehfil mein Jalwe Lapak Jayenge
Noor hi Noor Seeno mein Bhar Jayega
Sari Mehfil mein Jalwe Lapak Jayenge
Aye Madine ke Za’ir KHuda ke LIye
Dastaan-e Safar Mujhko yun Mat Suna
Aye Madine ke Za’ir KHuda ke LIye
Dastaan-e Safar Mujhko yun Mat Suna
Baat Bhar Jayegi Dil Tadap jayega
Mere Mohtat Aansoo chalak Jayega
Unki Chashme karam ko hai Iski Khabar
Kis Musafir ko hai kitna Shouke Safar
Humko Iqbal jab bhi Ijazat Mili
Hum bhi Aaqa ke Darbar Tak Jayenge
Faslon ko Takalluf hai Humse Agar
Hum Bhi Bebas nahi Besahara Nahi
ConversionConversion EmoticonEmoticon