Ab to Bas Aik hi Dhun hai ke Madina Dekhoon


Ab to Bas Aik hi Dhun hai ke Madina Dekhoon


Ab to Bas Ek hi Dhun hai ke Madina Dekhoon


Akhri Waqt mein kya Raunaq-e-Duniya Dekhoon
Ab to Bas Aik hi Dhun hai ke Madina Dekhoon

Isne bhi Madina dekh liya usne bhi Madina dekh liya
Sarkaar kabhi toh mai bhi kahoon maine bhi Madina dekh liya
Ab to Bas Aik hi Dhun hai ke Madina Dekhoon

Mainu Majburiya te Dooriya ne Mareya
Sadh lo Madine Aaqa (Sallallah hu Alyhi Wasllam) karo Meharbaniyan



Tussan te hai derra main ton Bari Door la leya
Sadh lo Madine Aaqa Karo Meharbaniyan
Ab to Bas Aik hi Dhun hai ke Madina Dekhoon

Phir Karam ho gaya main Madine Chala
Jhoomta jhoomta main Madine Chala

Saakiya may Pila main Madine Chala
Mast-o-Bekhud Bana main Madina Chala

Mere Aaqa ka Dar Hoga Paysh-e-Nazar
Kya Suroor Aayega main Madine Chala

Ab to Bas Aik hi Dhun hai ke Madina Dekhoon

Ek Roz Hoga Jana Sarkar ki Gali mein
Hoga waheen Thikana Sarkar ki Gali mein

Ab to Bas Aik hi Dhun hai ke Madina Dekhoon

Teri Jaliyon ke Neeche Teri Rehmato ke Saaye
Jisse Dekhni ho Jannat woh Madina Dekh aaye
Ab to Bas Aik hi Dhun hai ke Madina Dekhoon

Mere Maula Meri Aankhein Mujhe Wapas kar de
Taake iss Bar mai Jee Bhar ke Madina Dekhoon
Ab to Bas Aik hi Dhun hai ke Madina Dekhoon

Bulalo Phir mujhe aye Shah-e-Bahro bar Madine mein
Mai Phir Rota huwa aaun Tere Dar par Madine mein

Madine Jaane Waalo Jao Jao Fi-Ama Nillah
Kabhi toh Apna Bhi Lag Jayega Bistar Madine mein
Previous
Next Post »