Tajdar-e-Haram ho Nigahen Karam
Tajdare Haram Ho Nigahe Karam II
Qismat me meri chain se jeena
likh de
Doobe na kabhi mera safeena likh
de
Jannat bhi hai gawara hai magar
mere liye
Ae katib-e-taqdeer madeena likh
de
Tajdar-e-haram ho nigahen karam
Ham ghareebon ke din bhi sanwar
jayenge
Haami-e-be-kasan kya kahega jahan
Aap ke dar se khali agar jayenge
Koi apna nahin gham ke maare hain
ham
Aap ke dar pe fariyad laye hain
ham
Ho nigahen karam warna chaukhat
pe ham
Aap ka naam le le ke mar jayenge
Tori preet me sudh budh sab bisri
Kab tak rahegi ye be khabri
Gaah-e-ba-figan duzdi da nazar
Kabhi sun bhi to lo hamari
batiyan
Aap ke dar se koi na khali gaya
Apne daman ko bhar ke sawali gaya
Ho habeeb-e-hazeen par bhi aaqa
nazar
Warna auraq-e-hasti bikhar
jayenge
Aao madeene chalen aao madeene chalen
Isi maheene chain aao madeene
chalen
Tajalliyon ki hai ajab hai fiza
madeene me
Nigahen shauq ki hai inteha
madeene me
Gham-e-hayat na khauf-e-kaza
madeene me
Namaz-e-ishq karenge ada madeene
mere
ba-raah-e-raast hai rah-e-khuda
madeene me
Aao madeene chalen aao madeene
chalen
Isi maheene chalen aao madeene
chalen
Mai-kashon aao aao madeene chalen
Dast saqi-e-kausar se peene
chalen
Yaad rakho agar uth gayi ek nazar
Jitne khali hain sab jaam bhar jayenge
Khauf toofan hai bijliyon ka hai
dar
Sakht mushkil hai aaqa kidhar
jayen ham
Aap hi gar na lenge hamari khabar
Ham musibat ke maare kidhar
jayenge
Tajdar-e-haram ho nigahen karam
Ham ghareebon ke din bhi sanwar
jayenge
Haami-e-be-kasan kya kahega jahan
Aap ke dar se agar jayenge
Tajdar-e-haram, Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram, Tajdar-e-haram
We hope you like this Naat-e-Pak
“Tajdar-e-Haram ho Nigahen Karam” very much.
ConversionConversion EmoticonEmoticon