Bakhte Khufta Ne Mujhe Rauzay Pe Jaane Na Diya
Bakhte Khufta
Ne Mujhe Rauzay Pe Jaane Na Diya
Chashm O Dil Seenay Kaleyje Se Laganay Na Diya
Chashm O Dil Seenay Kaleyje Se Laganay Na Diya
Aah!
Qismat Mujhe Duniya Ke Ghamon Ne Roka
Haaye!
Taqdeer Keh Taiba Mujhe Jaanay Na Dia
Itna
Kamzor Kiya Zoa'afa E Quwa Ne Mujh Ko
Paanv To
Paanv Mujhe Sarr Bhi Uthane Na Diya
Kabhi
Beemar E Muhabbat Bhi Hue Hai Achhe
Roz
Afzu Hai Marz Kaam Dawa Ne Na Diya
Sharbat-E-Deedar
Ne Aur Aag Lagadei Dil Mein
Tapish-E-Dil
Ko Barhaya Hai Bujhanay Na Dia
Ab Kahan
Jayega Naqsh Tera Mere Dil Se
Teh Mein
Rakha Hai Issay Dil Ne Gumanay Na Dia
Mere A’mal
Ka Badla Tou Jahannum Hee Tha
Mein Tou
Jaata Mujhe Sarkar Ne Jaanay Na Dia
Nafs-E-Badkaar
Ne Ne Dil Pe Ye Qiyamat Torri
Amal Naik
Kia Bhi Tou Chupanay Na Dia
Aur
Chamakti Si Ghazal Koi Parho Ay Noori
Rang Apna
Abhi Jamnay Sho’ra Ne Na Dia
ConversionConversion EmoticonEmoticon