Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharo
Falak Ke
Nazaro Zameen Ki Baharo
Sub Eidein
Manao Huzoor Aa gaye Hain
Utho Be
Saharo Chalo Gham Ke Maaro
Khabar Ye
Sunao Huzoor Aa gaye Hain
Huzoor Aa
gaye Hain, Huzoor Aa gaye Hain
Anokha
Niraala Woh Zee Shaan Ayaa
Woh Saray
Rasoolaun Ka Sultan Ayaa
Aray Kaj
Kula’ho Aray Baadshaho
Nigahein
Jhukao Huzoor Aa gaye Hain
Huzoor Aa
gaye Hain, Huzoor Aa gaye Hain
Huwa Char
Su Rahmataun Ka Basera
Ujaala
Ujaala’ Sawera Sawera
Halima
(R.A) Ko Pohnchi Khabar Aaminah (R.A) Ki
Mere Ghar
Main Aao, Huzoor Aa gaye Hain
Huzoor Aa
gaye Hain, Huzoor Aa gaye Hain
Hawaun
Mein Jazbaat Hain Marhaba Ke
Fazaun
Mein Naghmaat Salle’Alla Ke
Daroodaun
Ke Gajrey, Salamaun Ke Tohfay
Ghulamo
Sajaao, Huzoor Aa gaye Hain
Huzoor Aa
gaye Hain, Huzoor Aa gaye Hain
Sama Hai
Sana E Habeeb E Khuda Ka
Ye Meelad
Hai Sarware Ambiya Ka
Nabi Ke
Gadaao Sub Ek Doosre Ko
Khabar Ye
Sunao, Huzoor Aa gaye Hain
Huzoor Aa
gaye Hain, Huzoor Aa gaye Hain
Kahaan Mai
Zahuri Kahaan Unki Baatein
Karam Hi
Karam Hain Ye Din Aur Raatein
Jahaan Par
Bhi Jaao Dilaun Ko Jagao
Yahi Kehte
Jaao, Huzoor Aa gaye Hain
Huzoor Aa
gaye Hain, Huzoor Aa gaye Hain
ConversionConversion EmoticonEmoticon