Ya Rasulallah ya Habiballah Sallam Alyka Ya Rasoolallah

Ya Rasulallah ya Habiballah Sallam Alyka Ya Rasoolallah


Ya Rasulallah ya Habiballah  Sallam Alyka Ya Rasoolallah


Ya Rasulallah ya Habiballah

Sallam Alyka Ya Rasoolallah
Wasallam Alyka Ya Habiballah
Ahlan wa Sahlan Marhaba Ya Rasoolallah

Shah Yara Bh’in Qad Bada
Nooru Hul Aa’laa
Ya Habbada Barda
Zakal Himayujla

Chaaro Taraf Noor Chaya
Aaqa ka Meelad Aaya
Khushiyon ka Paigaam Laaya
Aaqa ka Meelad Aaya

Shams-o-Qamar or Taare
Q na Khush Aaj Saare
Unse hi to Noor Paya
Aaqa ka Meelad Aaya

Khushiya Manate hai wahi
Dhoome Machaate hai Wahi
Jin par Huwa Unka Saaya
Aaqa ka Meelad Aaya

Ghar ko Sajate hai Wahi
Jhande Lagate hai Wahi
Jin par Huwa unka Saay
Aaqa ka Meelad Aaya

Hai Shaad har ek Musalmaa
Karta hai Ghar Ghar Charaaga
Galiyon ko bhi Jagmagaya
Aaqa ka Meelad Aaya

Mukhtare kul Maane jo Unhe
Noori Bashar Jaane JO unhe
Naara usi ne Lagaya
Aaqa ka Meelad Aaya

Jo Aaj Mehfil me Aaye
Man ki Muraade wo Paaye
Sab par Karam ho Khudaya
Aaqa ka Meelad Aaya

Ghousal wara or Data ne
Mere Raza or Khawaja ne
Sab ne hi din ye Manaya
Aaqa ka Meelad Aaya

Naate Nabi tum Sunaao
Ishq e Nabi ko Badhao
Humko Raza ne Sikhaya
Aaqa ka Meelad Aaya

Jisko Shajar Jante hain
Kehna Hajar Mante hain
Aisa Nabi humne Paaya
Aaqa ka Meelad Aaya

Dil Jag magane Lage hain
Sab Muskuraane Lage hain
Ik Kaif sa Aaj Chaya
Aaqa ka Meelad Aaya

Kar tu ubaid unki Midhat
Tujh par ho Khuda ki Rehmat
Tune Muqqadar yeh Paya
Aaqa ka Meelad Aaya
Previous
Next Post »