Bhar do jholi meri ya Muhammad Lout kar main a jaunga khali
Bhar do jholi meri ya Muhammad
Lout kar main a jaunga khali
Tumhare aastaane se zamana
kya nahi pata
Koi bhi khali mangle wala
nahi jaata
Bhar do jholi meri
sarkaar-e-madeena
Bhar do jholi meri tajdaare
madeena
Tum zamane ke mukhtar ho ya
nabi
Bekason ke madadgar ho ya
nabi
Sab ki sunte ho apne ho ya
ghair ho
Tum gareebon ke ghamkhar ho
ya nabi
Bhar do jholi meri
sarkaar-e-madeena
Bhar do jholi meri tajdaare
madeena
Hum hain ranjo musibat ke mare
huye
Sakht mushkil mein hain gham
se hare huye
Ya nabi kuch khudara humein
bheek do
Dar pe aaye hain jholi
pasare huye
Bhar do jholi meri
sarkaar-e-madeena
Bhar do jholi meri tajdaare
madeena
Hai mukhalif zamana kidhar
jaye hum
Haalate bekasi kisko
dikhlaaye hum
Hum tumhaare bhikaari hain
ya Mustafa
Kiske aage bhala hath
pahilaayen hum
Bhar do jholi meri
sarkaar-e-madeena
Bhar do jholi meri tajdaare
madeena
Bhar do jholi meri ya Muhammad
Lout kar main a jaunga khali
Kuch nawason ka sadqa ata ho
Dar pe aaya hoon ban ke
sawali
Haq se paayi wo shane karimi
Marhaba dono aalam ke waali
Uski qismat ka chamka sitara
Jis par nazre karam tumne
dali
Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo deene haq ki bacha li
Wo Muhammad ka pyara nawasa
Jisne sajde mein garden katali
Jo ibne murtaza ne kiya
khoob hai
Qurbaani e hussain ka anjaam
khoob hai
Kurbaan ho ke Fatima zehra
ke chain ne
Deene khda ki shaan badhayi
hussain ne
Bakhshi hai jisne mazhabe
islam ko hayat
kitni azeem hazrate shabbir ki
hai zaat
Maidaane karbala mein shahe
khush khisaal ne
Sajde mein sar kataa ke Muhammad
ke lal ne
Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo deene haq ki bacha li
Wo Muhammad ka pyara nawasa
Jisne sajde mein garden katali
Hasher me dekhnenge jis dam
Ummati ye kahanenge khushi
se
Aa rahe hain wo dekho Muhammad
Jinke kaandhe pe kambli hai
kaali
Bhar do jholi meri ya Muhammad
Lout kar main a jaunga khali
ConversionConversion EmoticonEmoticon