Meetha Meetha hai Mere Muhammad ka Naam
Meetha
Meetha hai Mere Muhammad ka naam
Un pe Lakhon
Karoron Durood o Salam
Jisne Aake
Sawara hai Daarain ko
Jiski REhmat
ne Dhanpa hai Kaunain ko
Jiske Dam se
hai yeh Raunakein Hai Tamam
Un pe Lakhon
Karoron Durood o Salam
Meetha
Meetha hai Mere Muhammad ka naam
La Makaan ke
Bane hai wohi to makeen
Jinki
Naalain ko Choome ARsh-e-Bareen
Jo Khuda se
Hua Arsh par Hum Kalam
Un pe Lakhon
Karoron Durood o Salam
Meetha
Meetha hai Mere Muhammad ka naam
Waqt Laaye Khuda
Jaaye Darbaar par
Aur Khade ho
Ke Roza-e-Sarkar par
Pesh mil Kar
Kare Hum Durood o Salam
Un pe Lakhon
Karoron Durood o Salam
Meetha
Meetha hai Mere Muhammad ka naam
Ek Khuda ki
Raza Jiska Maqsood tha
Zulm Sehta
Raha Shukr Karta Raha
Jiske Sabr o
Tahammul ke charche hain Aam
Un pe Lakhon
Karoron Durood o Salam
Meetha
Meetha hai Mere Muhammad ka naam
Shah-e
Kaunain woh Ruh-e-Daarain Woh
Fakhr-e-Hasnain
wo Ghaus-e Saqlain woh
Jinke Dar ka
Hai Hafiz bhi Adna Ghulaam
Un pe Lakhon
Karoron Durood o Salam
Meetha
Meetha hai Mere Muhammad ka naam
Wohi Hasni
Hussaini Chaman ke Hain Phool
Noor-e Maula
Ali Jaan-e-Zehra Batool
Jiske Nana
Rasool-e-Khuda Zi Makan
Un pe Lakhon
Karoron Durood o Salam
Meetha
Meetha hai Mere Muhammad ka naam
Un pe Lakhon
Karoron Durood o Salam
ConversionConversion EmoticonEmoticon