Zahe Muqaddar Huzur-e Haq se Salam Aaya Payam Aaya
Zahe
Muqaddar Huzur-e Haq se Salam Aaya Payam Aaya
Jhukao
Nazren Bichao Palken Adab ka Aala Maqam Aaya
Ye
Kon Sar se Kafan Lapete Chala hai Ulfat ke Raaste Par
Farishty
Hairat se Tak Rahe hain Ye kon Ze Ehteraam Aaya
Faza
mein Labbaik ki Sadaein Za Farsh ta Arsh Goonjti hain
Har Ek
Qurban ho Raha hai Zaban pe Yeh kiska Naam Aaya
Ye
Rahe haq hai Sambhal ke Chalna Yahan Hai Manzil Qadam Qadam par
Pahuchna
Dar par to Kehna Aaqa Salam Lijiye Gulaam Aaya
Yeh
Kehna Aaqa Bahut se Aashiq Tadapte se Chod Aaya hoon main
Bulaane
ke Muntazir hai Lekin na Subah Aaya na Sham Aaya
Dua
jo Nikli thi Dil se Aakhir Palat ke Maqbool ho ke Aayi
Woh
Jazba Jis mein Tarap thi Sachchi woh Jazba Aakhir Kaam Aaya
Khuda
Tera Hafiz-o Nigehban O Raahe Batha ke Jaane Wale
Nabi
de Saad in Bisat Ban kar Payam Daroodo Salam Aaya
Zahe
Muqaddar Huzur-e Haq se Salam Aaya Payam Aaya
Jhukao
Nazren Bichao Palken Adab ka Aala Maqam Aaya
ConversionConversion EmoticonEmoticon