Duniya ke Aye Musafir manzil Teri Qabar hai Tay Kar Raha hai jo Tu Do din wo Sada hai

Duniya ke Aye Musafir manzil Teri Qabar hai Tay Kar Raha hai jo Tu Do din wo Sada hai


kabhi aise hazri ho,kabhi aisay hazri ho,dare mustafa.,har waqt tasawar main madinay ki gali ho,qadri,dil mustafa se lagane ke liye hai,naat,praise,sar darbare ilahi me zhukane ke liye hai,mustafa,owais raza qadri,beautiful naat,best naat,best naats,latest naat,naat e rasool,urdu naat,video naat,video naats,naat ya taiba,naat shareef,famous naats,kabir,pakistani naat,naat sharif mp3,mujeer


Duniya ke Aye Musafir manzil Teri Qabar hai

Tay Kar Raha hai jo Tu Do din wo Sada hai

Jab se Bani hai Duniya Laakho Karodo aaye
Baaqi Raha na koi Mitti mein Sab Samaye
Is baat ko na bhulo sab ka yahi Hashr hai

Duniya ke Aye Musafir manzil Teri Qabar hai
Tay Kar Raha hai jo Tu Do din wo Safa hai

Aankho se tune Apni Kitne Janaze Dekhe
Hathon se tune Apne Dafnaaye Kitne Murde
Anjam se tu apne Kyu Itna Bekhabar hai

Duniya ke Aye Musafir manzil Teri Qabar hai
Tay Kar Raha hai jo Tu Do din wo Safa hai

Mkhmal mein sone Waale Mitti mein so Rahe hain
Shaho Gada Barabar Ek Sath so Rahe Hain
Dono Huye Barabar Yahi Maut ka Asar hai

Duniya ke Aye Musafir manzil Teri Qabar hai
Tay Kar Raha hai jo Tu Do din wo Safa hai
Ye Aalishan Bangle Kisi Kaam ke Nahi hain
Ye Oonchi Oonchi Imaarat Kuch kaam ke Nahi hain
Do Ghaz Zameen ka Tukda Chota se Tera Ghar hai

Mitti ke Putle Tujhko Mitti mein hai Samana
Ek din hai tu ke Aaya ek din hai Tujhko Jana
Rehna nahi hai tujhko jaari Tera Safar hai

Duniya ke Aye Musafir manzil Teri Qabar hai
Tay Kar Raha hai jo Tu Do din wo Safa hai
Previous
Next Post »