Wo jiske liye mehfil e konain saji hai Firdous-e Bari Jiske Waseele se Bani hai

Wo jiske liye mehfil e konain saji hai Firdous-e Bari Jiske Waseele se Bani hai




Wo jiske liye mehfil e konain saji hai

Firdous-e Bari Jiske Waseele se Bani hai

Wo hashmi Makki Madani ul Arabi hai

Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera nabi hai

Wo mera Nabi hai

Ahmad hai Muhammad hai Wohi Khatme Rusul hai
Makhdoom o Murabbe hai Wahi Waaliye Kul hai
Us par hi Nazar Saare Zamaane ki Lagi hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera nabi hai

Wo mera Nabi hai

Washshams-e Duha Chehra-e Anwar ki Jhalak hai
Wallail-e Saja Gesua-e Hazrat ki Lachak hai
Aalm ko Zia Jiske Waseele se Mili hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera nabi hai

Wo mera Nabi hai

Allah ka Faman Alam Nashrah Laka Sadrak
Mansoob hai jis se Warafana Laka Zikrak
Jis Zaat ka Quraan me Bhe Zikre Jalee hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera nabi hai

Wo mera Nabi hai

Muzzammil o Yaseen Wa Muddassir o Taaha
Kiya kiya Naye Alqaab se Maula ne PUkara
Kiya Shaan hai us ke ke Jo Ummi Laqabi hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera nabi hai

Wo mera Nabi hai

Wo Zaat ke JO mazhare Lao La Kalima hai
JO Sahib-e Rafraf Shabe Meraj hua hai
Asraa mein Imaamat Jise Nabiyon ki Mili hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera nabi hai

Wo mera Nabi hai

Jis Darja Zamane mein thi Mazloome-e Aurat
Phir Jis ke Badolat mili Use Izzat o Rif'at
wo Mohsin o GhamKhar Hamara Hi Nabi hai
wo Inka Nabi Un ka Nabi Sab ka Nabi hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera nabi hai

Wo mera Nabi hai

Wo Jiske Liye Mehfile Konain Saji hai
Firdous-e Bari Jiske Waseele se Bani hai
Wo hashmi Makki Madani ul Arabi hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera nabi hai

Wo mera Nabi hai
Previous
Next Post »